Tuesday, October 2, 2012

lalsa....

katra katra karke maine
bharli saari tijoriya...
waqt unhi ko de na paya...
jinke khatir ki ye choriya...
.
kabhi suni na maine...
bitiya ki khilkhilahat...
kabhi suni na mene...
bivi ki shiqayat..
.
bas andhadhundh...
doudta raha, karta raha lalsa...
ab tana beth ke...
khud ko kese du dilasa...

No comments: