Saturday, June 6, 2015

jamana facebook whatsapp ka

dhundhte hai anjan galiyo me
aaj bhi apne bachpan ko
kho gaya hai jo yahi kahi
zindagi ki paheliyo me

kisise kahe akela pan to
Log majak banate hai
yad kare bachpan ko to
log hasi me udate hai

salti hai bahut ye mujhe
jawani se aayi makkari
yad bahut aati hai mujhe
wo masumiyat wo kilkari

bhag doud ki duniya me
sab machine se ho gaye
wo pal masti ke, muskan ke
wo jajbaat sare kho gaye

dosti bhi ajkal to karte hai
matlab nikalne bhar ko log
dil bhale hi na mile ta-umra
hath jarur mila lete hai log

office se ghar, ghar se bas office
ajkal nahi hoti dosto k bich gossip
social network pe to sab hai active
par society me kya hua nahi karte notice

jung bhi ab to facebook pe ladte hai
andolan ki sari bate hum yahi karte hai
khalipan hai zindagi ka facebook ni bharega
zindagi bachpan si bitao tab sukun milega

No comments: