Thursday, August 27, 2015

Aarakshan !!!

Kitne ghar funk diye
Kitni sampada jala di
Tumne is andhi aag me
Kitno ko lachar kar diya
Kitne ghar ujad diye
Tumne apne swarth me
Gehun ke sath ghun piste hai
Genhu tumne pis diye hai
Kuchh ghuno ke sath me

Kar diya jam tumne chakka
Fans gaye log band ke halat me
Kitna aatank machaya tumne
Kuch Hud-dangiyo ke sath me
Jana tha kisi ko behan se milne
Bandhane ko rakhi hath me
Kitni bahne mayus ho gayi
Leke aansu aankh me
Kitno ko milna tha aaj
Ek arse baad maa baap se
Koi fans ke raha gaya hoga
Aspatal jaane ki raah me

Ye kaisa hahakar macha hai
Ki khud ko nirbal bata rahe ho
Ye kya soch jagi hai man me
Ki logo ko bhadka rahe ho
Mehnatkash khud ko kahte ho
To kyu anudaan pe jina hai
Ye kounsa chakkar hai ki
Hume “pichhde” warg me rahna hai
Kyo chhod ke apni khuddari ko
“nishakto” kahlane ki chah jagi
Kiske man ki upaj hai ye jo
Man me “aarkshan” ki raah jagi

Banta hua hai pahle se hi
Ab aur na banto kisi bahane se
Na bahko aur na bahkao
Na ban jao tum diwane se
Na bhulo ki yuva shakti ho
Mat bhulo ki tum bhi
Aane wapi pidhi ke agraj ho
Mat bhulo ki tum

Lohpurush ke wanshaj ho 

Wednesday, August 26, 2015

दरारों से झाँकने का

 खुले रख छोड़े है मैंने अपने
 घर के दर ओ दरवाजे
 कोई हाल चाल तक नहीं पूछता
 जाने क्या शगल है लोगो को
 दरारों से झाँकने का