Saturday, June 6, 2015

khoye khoye se hum - sath hoke ke bhi alag alag

Ek dour e bachpan tha
sab yar roj mila karte the
padhne jate the sath sath
khel ghanti me khela karte the


ghar aate the sath sath
home work k bad mila karte the
kisi ko jara sa kharish bhi aaye
milne pahuncha karte the


tabiyat jara nasaaz hui
raaton ko jaga karte the
koi bhi haal ho chahe
har haal me masti karte the


Fir aaya dour e jawani
milne k dour ab kam hue
masti Ki jagah ab chinta ne leli
college me dakhile ki chinta


college k bad naukri ki chinta
naukri mili ab ghar bar ki chinta
ab dosto se mulaqat kam ho gayi
har koi jane kaha kaha bas gaya


bas kabhi kabhi phone kar lete
ya bas shadi tyohar me mil lete
fir is dour me "facebook" aaya
jane isne kitne bichhdo ko milaya


purane dosto k sath naye bhi bane
Ab fir se purani mastiya hone lagi  
jane anjane mitro k sath waqt bitne laga
ab zindagi me "whatsapp" bhi aa gaya


hasi majak aur jokes bheje jane lage
social muddo pe bhi charcha hone lagi
par fir is dour me bhi naya dour aaya
aaj sab sath sath to hai par alag thalag se


bas jokes aur msg forward hote hai
na ram ram na dua salam hoti hai
na hi hal chal puchhne ko bat hoti hai
bas dosto k name ki fehrist lambi hai
par haqiqat me rishto me khamoshi hai.

jamana facebook whatsapp ka

dhundhte hai anjan galiyo me
aaj bhi apne bachpan ko
kho gaya hai jo yahi kahi
zindagi ki paheliyo me

kisise kahe akela pan to
Log majak banate hai
yad kare bachpan ko to
log hasi me udate hai

salti hai bahut ye mujhe
jawani se aayi makkari
yad bahut aati hai mujhe
wo masumiyat wo kilkari

bhag doud ki duniya me
sab machine se ho gaye
wo pal masti ke, muskan ke
wo jajbaat sare kho gaye

dosti bhi ajkal to karte hai
matlab nikalne bhar ko log
dil bhale hi na mile ta-umra
hath jarur mila lete hai log

office se ghar, ghar se bas office
ajkal nahi hoti dosto k bich gossip
social network pe to sab hai active
par society me kya hua nahi karte notice

jung bhi ab to facebook pe ladte hai
andolan ki sari bate hum yahi karte hai
khalipan hai zindagi ka facebook ni bharega
zindagi bachpan si bitao tab sukun milega