Tuesday, August 30, 2011

tu kisi aur ki kyu hai????

Tujhe pane ki jo khooshi thi mujhe.....
us se kahi jyada janlewa hai tera kisi aur ke hone ka ehsas....

Sunday, August 28, 2011

Ankhe khol ke pyar kare...

Pathrili hai ye rah aur chikni bhi,
jane koun kab fisal jae aur koun kab jakhmi....
ehtiyat hi hai behtarin nuskha...
andhe hoke pyar kiya jaye ye duniya us kabil nahi....

me kya hu tere liye..????

Me jo tha ek junoon tera....
ab jese hikarat ban gaya hu....
ek khilona jese, jise ji bhar ke khela...
aur fir purane bakse me band kar diya....

meri kismat mein tu nahi...

Janta hu ki tu na thi, na hai aur na kabhi hogi....
meri kismat mein.....
par fir bhi ye diwana dil tere siwa kuch nahi samajhta....???

par sach to yeh hai ki wo aaj bhi us be-murabbat se pyar karta hai...

Ek hasina thi esi... jo ek shaksh pe marti thi...
us shaksh ki diwangi ki tarah...
woh bhi shiddat se use ishq karti thi...

kahti thi ke beinteha ishq hai tumse..
aur ab na tum bin jine ki kuvaat hai mujhme...

fir jane kya hua use wo kisi aur se dil laga bethi...
bakayda utni hi shiddat se wo kisi aur ko chahne lagi...
ab wo shksh uske lie ek beetee hui baat tha....
sath jine marne ka wada, bas ek bhula jajbaat tha...

par wo shaksh aaj bhi usi chahat ke mousam me jita hai...
us hasina ke diye hue jakhmo ko aaj bhi has k sita hai...
kahta hai sabse ki ishq na karna...ye dunia farebi hai....
par sach to yeh hai ki wo aaj bhi us be-murabbat se pyar karta hai...

masrufiyat....

Socha tha, jab aap masroof ho jaoge duniadaari me...
hum bhi khud ko diniyadari me masroof kar lenge...
par tab ye na socha tha ki...
jab duniya hi humari kahi aur masruf hogi, to kya karenge...

jaan nikalne ko hai...

Itne door to hum tab bhi na the....
jab hum ajnabi se hua karte the....
itne kareeb aake yun door ho jane ja ehsas...
na jaan leta hai, aur na hi jine deta hai hume....

udhaar ki khushiyan...

Ek waqt tha jab hum ashq udhaar mangte the....
aur log humse humari hansi udhaar mangte the...
aaj manjar hai yeh ki koi jarasi khushi bhi udhaar nahi deta hume....

Kiradaar...

Hai tamaam kiradaar wahi...
bas ek uske ke siway....
par ab ye kahani...
wo kahani nahi rahi.....

Fasle...

jarra jarra karte fasle itne ho gae...
kal tak hawa tak ko na jagah thi gujarne ki...
aaj saari qaynaat hai darmiyan humare.....