Monday, November 14, 2011

bekhabar....

Masroof hai wo itne....
Ki hamare haal tak ki bhanak nahi....
Humari dhadkano se hal-e-dil jan jaye....
Yeh ummid unse bemani hai....

Friday, September 23, 2011

armaan adhure....

Koi armaan nahi nikalta mera ab...
Har armaan ka dum nikalta hai...
Hai khushi ka din aaj kahne ko to...
Par hotho se fasana-e-sitam nikalta hai...

Tuesday, September 20, 2011

rashq...

Badal liya hai humsafar usne....


par aaj bhi humse ittefaq rakhte hai....

mujhe sath kisi k dekhke rashq hai unhe....

jaahir hai wo aaj bhi humse pyar karte hai .... :)

unki berukhi....

jab dil sisakta hai sitam se..
Aur chahta hai mojudgi unki...
Wo chhod dete hai apne haal pe...
Hum mante the ye bhi unki ek ada...
Par wo is darmiyan kisi ke sath masruf hote hai...

unki masrufiyat...

unhe khabar hai k siwa unke hume koi kam nahi...
Fir bhi unhe jara waqt nahi milta humara haq ataa karne ko...

Wednesday, September 14, 2011

tamam koshishe karli ke samajh pau tera nek irada... Par ek to ye behatasha bahte ashq.. Aur dusra mera chaknachur dil... Mujhe mamle ki tah tak nahi jane dete...

Tuesday, September 6, 2011

Fitur.....

Diwane ban ke jana....
Diwano ko kya kasak hoti hai....
warna lagta tha ki jese....
Bas dimagi fitur hai sara....

Tuesday, August 30, 2011

tu kisi aur ki kyu hai????

Tujhe pane ki jo khooshi thi mujhe.....
us se kahi jyada janlewa hai tera kisi aur ke hone ka ehsas....

Sunday, August 28, 2011

Ankhe khol ke pyar kare...

Pathrili hai ye rah aur chikni bhi,
jane koun kab fisal jae aur koun kab jakhmi....
ehtiyat hi hai behtarin nuskha...
andhe hoke pyar kiya jaye ye duniya us kabil nahi....

me kya hu tere liye..????

Me jo tha ek junoon tera....
ab jese hikarat ban gaya hu....
ek khilona jese, jise ji bhar ke khela...
aur fir purane bakse me band kar diya....

meri kismat mein tu nahi...

Janta hu ki tu na thi, na hai aur na kabhi hogi....
meri kismat mein.....
par fir bhi ye diwana dil tere siwa kuch nahi samajhta....???

par sach to yeh hai ki wo aaj bhi us be-murabbat se pyar karta hai...

Ek hasina thi esi... jo ek shaksh pe marti thi...
us shaksh ki diwangi ki tarah...
woh bhi shiddat se use ishq karti thi...

kahti thi ke beinteha ishq hai tumse..
aur ab na tum bin jine ki kuvaat hai mujhme...

fir jane kya hua use wo kisi aur se dil laga bethi...
bakayda utni hi shiddat se wo kisi aur ko chahne lagi...
ab wo shksh uske lie ek beetee hui baat tha....
sath jine marne ka wada, bas ek bhula jajbaat tha...

par wo shaksh aaj bhi usi chahat ke mousam me jita hai...
us hasina ke diye hue jakhmo ko aaj bhi has k sita hai...
kahta hai sabse ki ishq na karna...ye dunia farebi hai....
par sach to yeh hai ki wo aaj bhi us be-murabbat se pyar karta hai...

masrufiyat....

Socha tha, jab aap masroof ho jaoge duniadaari me...
hum bhi khud ko diniyadari me masroof kar lenge...
par tab ye na socha tha ki...
jab duniya hi humari kahi aur masruf hogi, to kya karenge...

jaan nikalne ko hai...

Itne door to hum tab bhi na the....
jab hum ajnabi se hua karte the....
itne kareeb aake yun door ho jane ja ehsas...
na jaan leta hai, aur na hi jine deta hai hume....

udhaar ki khushiyan...

Ek waqt tha jab hum ashq udhaar mangte the....
aur log humse humari hansi udhaar mangte the...
aaj manjar hai yeh ki koi jarasi khushi bhi udhaar nahi deta hume....

Kiradaar...

Hai tamaam kiradaar wahi...
bas ek uske ke siway....
par ab ye kahani...
wo kahani nahi rahi.....

Fasle...

jarra jarra karte fasle itne ho gae...
kal tak hawa tak ko na jagah thi gujarne ki...
aaj saari qaynaat hai darmiyan humare.....

Wednesday, July 13, 2011

yakin...

woh dete hai duhaai...
khud pe yakin karne ki...
aur har baar khud hi...
yakin tut jane jesa kaam karte hai...

Sunday, July 10, 2011

o bekhabar....

hai sach ki ab tak mene apne hal-e-dil ka bayan nahi kiya tujse....
par mere hal-e-dil ka guman nahi tujhe, maan nahi sakta...

milan ki tadap hai tujhse....

karta hu hal aarzoo...
ke kash kuch esa ho jae...
darmiyan ki humare...
yeh sari duriyan mit jae...

hai raat aur khamoshi bhi dur talak...
aa mil ese mujhse...
 ki is mulaqat ka har lamha yaadgaar ban jae...

hai dil ko teri jaroorat...
hai jine ki tu jarurat...
yahi aalam hai teri janib bhi...
par hay ri is majburi ka kya kiya jae...

dil ke kya ho tum....

dil ke mehman ban ke aaye the tum...
par ab is tarah rahne lage ho....
ki tumhare bina ye dil....
dhadkane ki bhi nahi sochta....

Tuesday, July 5, 2011

लूटेरी...

हर अलफ़ाज़ ऐसा था उनका..
की खोते चले गए हम उनकी बातों में...
जब होश आया तो जाना...
की अपना सब कुछ लूटा बेठे है...

हकीक़त फिर समझ आई हमें...
की दिल का सबसे अज़ीज़ हक गवां बेठे है...
उन्हें लूट के भी हमारा चैन, सुकून नहीं है....
और हम सब कुछ लूटा के भी जैसे, सारी कायनात पाए बेठे हैं....

उनकी उल्फत की आंच ने पिघला दी हर दिवार..
की हर राज-ए-दिल से रु-ब-रु  है
दीवानगी की हद का आलम ये था...
की हम मोम के दरवाजों पे ताले लगाए बेठे है...



Monday, July 4, 2011

बेरुखी उनकी...

ख़ामोशी भी होती थी दरमियाँ...
तो हल-ए-दिल वो जान जाते थे...
अब कह भी देते है अपने हालात...
तो भी नासमझ की तरह पेश आते है...


भीगी पलक

एक अरसे से देखा उन्हें...
तो जज्बात काबू में न रहे...
भीगी पलकों से आँखे चमकने लगी मेरी...
वो समझ बेठे उनके जाने का मुझे कोई गम नहीं....


तू परी है...

जमीं से फलक तक ढूंढा हमने...
की कोई तो तोहफा हो जो दे सके आपको...
हर किसी ने बस यही कहा...
परियों को तोहफे नहीं दिए जाते...

Saturday, April 30, 2011

अनजान......

हर पल में लोग बदल जाते हैं...
पिछले पल में साथ होके अगले पल में बिछड़ जाते हैं...
ऐसे भी लोगो की कमी नहीं है यहाँ....
जिन्हें सामने रह के भी हम नजर नहीं आते हैं.....