Monday, August 20, 2012

sharmsar hoti manavta....


kabhi dharm ke name pe...
Kabhi jaat ke name pe...
Kaiyo ne mujhko loot liya...
Mene foota nasib manke...
Har bar hi apna sir pit liya....

Kabhi liya pita ka saya... 
Kabhi maa ko chhin liya...
Kabhi ujad di god meri...
Kabhi suhag ko mere loot liya....

kabhi bachpan chhin liya....
Aur kabhi chat li jawani...
Jaroorat thi sahare hi...
Tab jawan beta chhin liya...

Nirih bhav se dekhta me...
Sabse sath mera chhoot gaya...
Sab kuchh saha yaha mene.. 
Aur jate jate yahi kaha mene...

Nirdayi hatho katl hoti....
Aur sharmsar hoti manavta...

1 comment:

Anonymous said...

Bahut hi shandar