Monday, September 3, 2012

baba ka thhappad...krodh ya prasad?

ye duniya kya hai...
Nashwar maya hai...
Tu kyu dukhi hai...
Tu kya sath laya hai....
.
. Kam, lobh, mad..
Moh, ahem, krodh tyago...
Ye kaya nirmohi hai...
Iske pichhe mat bhago...
.
. Ishwar se balwan na koi...
Usse bada mahan na koi...
Jo khudko usse balwan samjhe....
Usse bada moorakh na koi...
.
. Aaj tak sab babaon ne...
Yehi hume sikhaya hai...
Mantro ka chamatkar batate batate...
Ek baba ne thappad ka prasad aaj khilaya hai....

No comments: